Jina toh suru kiya hai humne abhi |
Yaadon mein agar bas chalta |
Toh tadapte nahin rehte hum kabhi |
Saanse toh chalne lagi hay unke aane se |
Jina toh suru kiya hai humne abhi |
Jinke aag jalaye rakhen hain aaj bhi |
Yaadon mein hum uske rehte hain |
Jo goom huwe the kabhi |
Aaj who haqeqat banke samne hai |
Jinke aag jalaye rakhen hain aaj bhi |
Didar |
Din ke ujalo mein duniya se aapko hum bachaye |
Raat ko jab hum sote khwasih ek aap hum karte |
Barson guzar gaye aapko dekhe huwe |
Hamesha chaha aapka saath |
Aaj aake apka didar bhi huwa toh gairon ke haath |
Kahani |
Ek pagal jo kone main bhaith kar rota hai |
Sari duniya samjhe najane usne kya khoya |
Uska har aansu kisike chehere main khusi lati hai |
Sayad isiliye har waqt who hai rota |
Raakh |
Hum toh raakh ho chuke hain |
Aapni daastan kya batayein |
Khanjar toh seenay mein tub lagta hai |
Jab aag lagane wale haathon ko hi hum sehelayein |
Sapne |
Itne barson ke baad mile ho |
Ab tak toh khule aankhon se tere sapne dekhte rahe |
Barson ke baad dil ko chain mila hai |
Thodi der hee sahi bandh aankhon se sapne dekh lene de |
Dhadkan |
Dil toot kar bhikhar gaya hai |
Ab judne ki assh nahi |
Isiliye bikhre dil ko baadta firta hoon |
Apna nasahi…..kisi aur ka dil toh dhadke |
Dard |
Pyaar kiya hai |
Bura na chahunga uuska kabhi |
Dil tutne ka dard har waqt saheta hoon |
Kisiska dil todunga na kabhi |
Yaaron ki dosti |
Jab dil tuta marna aasan laga |
Saath jab choota jindagi se naraj huwa |
Par yaaron ki dosti mein bhi who dum tha |
Maut se ladkar phir jee utha |
Aankhon ki bhasa |
Dil se sunte hain |
Aakhon se bayaan karte hain |
Dil ne jo ek baar suun liya |
Toh aankhen aapne aap bolne lagte hain |
Sawal |
Jindagi ke raaste main log jo miltein hain |
Paagal dil bas anek sawal hi karte rehte hain |
Dilwale aksar sawalon ke piche kho jatein hain |
Akhir taak ssath dene wala mil bhi jaye koi |
Toh der hojati hai aur dil toot jatein hain |
Pyaar ka waqt |
Pyaar ka waqt kuch alag hota hai |
Duniya ka ek pal |
Pyaar karne walon ke liye hazaar hote hain |
Palkon pe |
Hamse kehdiya hota |
Paon jameen pe rakhne bhi na dete |
Jidhar bhi jana hota aapko |
Palkon main bitheye le chalte |
Apne |
Cheen kar toh gair bhi le jata hain |
Who hain aapne |
Jo kuch bole bagair jaan de jatein hain |
Naraazgi |
Naraazgi aapka jaayej hai |
Par itna bhi naraaz na huiwega |
Ki hum aapko manaa bhi na payen |
Darr |
Ji toh karta hai itna kushiyan bhardun |
Jo tum sambhal bhi na pao |
Har waqt sone ke baad daar sa reheta hai |
Jab aankh kholun toh kahin tum goom na hojao |
Saaya |
Saaya toh raat mein kho jati hain |
Raat ke andhere mein hum akele pad jate hain |
Bewafa samajhke hum bhool bhi jayein |
Par har ladki ki aankon mein aap ka hi naam aajata hai |
Dhuwan |
Agar hamarein naazrein judhi hoti |
Toh ghau hamare dul pe bhi lagta |
Par aap toh doosron ke nazar mein aake bas jalate hai humko |
Isiliye hamare paas se toh bas dhuwan hi hai nikalta |
Geherayi |
Aapko dooba sakun |
Itna geherayi hum mein kahan |
Aapki har tammana pura kar paye jo |
Usse khusnasib doosra kahan |
Zamane se chin ke |
Mera bas chale toh |
Aapko sare zamane se chin ke le chalun |
Aapka jab bhi didar kare kohi |
Toh bas ek main hi karoon |
Pyaar nahin |
Log jisme tabha hojaye who pyaar nahin |
Yaad karke jo muskura bhi na sake |
Who pyaar mein nahin |
Dil ki aag |
Jiski yaad mein khoyen hain |
Usse bahon mein bhar rahe hain |
Maar pit se kohi mard nahin banta |
Dil ki aag se rakh hokar muskurana bhi mardangi hai |
Tumhe khush dekhne ki |
Tumhe khush dekhne ki chaha karne wale bahut honge |
Par hum tumhe khus rakhne walon mein se hain |
Payal |
Najar se waar karti hai |
Ek muskan ghau ko bharti hai |
Jine ke liye saansh ban kar aati hai |
Par payal ki har jhankar se |
Dil ki dhadkan ruk ruk ke chalne par majboor kar jaati hai |
Ek jamana tha |
Ek jamana tha hum bhi sidhi baatein karte the |
Who toh kisike kajal ne aisa jaam bhardiya |
Aaj bhi ladkhadate huwe sayari mein |
Bas usika naam lete hain |
Raakh hum huwe the |
Hum bhi faulad ke huwa karte the |
Who toh jalim ki pyaar ka aag tha |
Jisme rakh hum huwe the |
Majboor |
Majboor toh hum the |
Jo apne hi dilko samjha na sake |
Uuski khusi hamare paas kahan |
Isi liye uuski duniya hi saab chod chale |
Sama jayein |
Hum raakh ho chuke hain |
Par hamein hawa mein udana nahin |
Daar hai kahin uuski aankhon mein na sama jayen |
Aadat nahin |
Hamein baandh kar rok sake |
Abhi aise salaakhein bane nahin |
Who toh khud ke dil ne jurm kiya pyaar karke |
Warna char diwar ke andar |
Chup baithne ki hamein bhi aadat nahin |
Dil ki awaaz |
Dil ki awaaz dil sunta hai |
Pyaar mein saach aur jhoot nahin hota |
Duniya chahe jitna bol le |
Pyaar karne walon ko sunai nahin deta |
Who keheti hai |
Who keheti hai, hamein pyaar izhaar karna nahin aata |
Dil kitna jalta hai hum chir ke bhi dikhadein |
Bas aag bujhane ke liye |
Kohi do boond aansu bahade |
Sapne toh |
Sapne toh aankh khulne se toot jate hain |
Armaano ko dub jane do |
Dil toh kabka raakh ho chuka |
Intazaar hai bas ab khud jalne ko |
Yeh aankhen kabhi |
Yeh aankhen kabhi soh nahi payi |
Kisike aaneka rah ko dekhke |
Aayega jaroor, ishme kabhi na shaq hai |
Dar hai toh bas kahin yeh aankhen na bhand hojaye |
Chaand itna door |
Chand itna door hai |
Phir bhi dil se pukaro toh aa bhi jaye |
par chand ko daar sa laga rehete hai |
Kahin kohi fir se daag na dejaye |
Har khoobsurti ko |
Har khoobsurti ko dil se niharun |
Kabhi rook jaun toh kabhi piche bhi pad jaun |
Par pyaas dil pe lagi hai |
Kab tak sirf aankhon se bujhaun |
Samay ke dhool se |
Samay ke dhool se nikle huwe |
Kuch yaadein kuch kahaniyan |
Ek pal ke liye bhool bhi jayein |
Tasveer main kaid hai meri qurbaniyaan |
Deep jalade |
Intazaar karne se hamein kohi shikwaa nahin |
Ek ek pal hum yaadon mein bitadein |
Dhadkan ruk bhi jaye pathar toh hai nahin |
Bas who bhi kabhi aane ki deep jalade |
Kabse dhoop main |
Kabse dhoop main khadi ho |
Yun hi hai yah kisike aane ka raah dekh rahi ho |
Baalon ke chau main moohn ko dhaak kar rakhe ho |
Yun hi hai yah aankhon ki nami chupa rahi ho |
Soonchta hoon |
Sonchta hun main, kahin tu dard main hogi |
Mujhe dard se door rakhne dard main bhi hansti hogi |
Khud bhooki rehke mere bhook mitati hogi |
Baat honeke ke baad dard se roti bhi hogi |
"Collection of original poems in English,Nepali and Hindi shayaris with a bit of mild thoughts......"
Monday, January 12, 2015
Hindi Sayaris
Labels:
Hindi Shayari
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment