Monday, January 12, 2015

Hindi Sayaris

Jina toh suru kiya hai humne abhi

Yaadon mein agar bas chalta
Toh tadapte nahin rehte hum kabhi
Saanse toh chalne lagi hay unke aane se
Jina toh suru kiya hai humne abhi

Jinke aag jalaye rakhen hain aaj bhi

Yaadon mein hum uske rehte hain
Jo goom huwe the kabhi
Aaj who haqeqat banke samne hai
Jinke aag jalaye rakhen hain aaj bhi

Didar

Din ke ujalo mein duniya se aapko hum bachaye
Raat ko jab hum sote khwasih ek aap hum karte
Barson guzar gaye aapko dekhe huwe
Hamesha chaha aapka saath
Aaj aake apka didar bhi huwa toh gairon ke haath

Kahani

Ek  pagal jo kone main bhaith kar rota hai
Sari duniya samjhe najane usne kya khoya
Uska har aansu kisike chehere main khusi lati hai
Sayad isiliye har waqt who hai rota

Raakh

Hum toh raakh ho chuke hain
Aapni daastan kya batayein 
Khanjar toh seenay mein tub lagta hai
Jab aag lagane wale haathon ko hi hum sehelayein

Sapne

Itne barson ke baad mile ho
Ab tak toh khule aankhon se tere sapne dekhte rahe
Barson ke baad dil ko chain mila hai
Thodi der hee sahi bandh aankhon se sapne dekh lene de

Dhadkan

Dil toot kar bhikhar gaya hai
Ab judne ki assh nahi
Isiliye bikhre dil ko baadta firta hoon
Apna nasahi…..kisi aur ka dil toh dhadke

Dard

Pyaar kiya hai
Bura na chahunga uuska kabhi
Dil tutne ka dard har waqt saheta hoon
Kisiska dil todunga na kabhi

Yaaron ki dosti

Jab dil tuta marna aasan laga
Saath jab choota jindagi se naraj huwa
Par yaaron ki dosti mein bhi who dum tha
Maut se ladkar phir jee utha

Aankhon ki bhasa

Dil se sunte hain
Aakhon se bayaan karte hain
Dil ne jo ek baar suun liya
Toh aankhen aapne aap bolne lagte hain

Sawal

Jindagi ke raaste main log jo miltein hain
Paagal dil bas anek sawal hi karte rehte hain
Dilwale aksar sawalon ke piche kho jatein hain
Akhir taak ssath dene wala mil bhi jaye koi
Toh der hojati hai aur dil toot jatein hain

Pyaar ka waqt

Pyaar ka waqt kuch alag hota hai
Duniya ka ek pal
Pyaar karne walon ke liye hazaar hote hain

Palkon pe

Hamse kehdiya hota
Paon jameen pe rakhne bhi na dete
Jidhar bhi jana hota aapko
Palkon main bitheye le chalte

Apne

Cheen kar toh gair bhi le jata hain
Who hain aapne
Jo kuch bole bagair jaan de jatein hain

Naraazgi

Naraazgi aapka jaayej hai
Par itna bhi naraaz na huiwega
Ki hum aapko manaa bhi na payen

Darr

Ji toh karta hai itna kushiyan bhardun
Jo tum sambhal bhi na pao
Har waqt sone ke baad daar sa reheta hai
Jab aankh kholun toh kahin tum goom na hojao

Saaya

Saaya toh raat mein kho jati hain
Raat ke andhere mein hum akele pad jate hain
Bewafa samajhke hum bhool bhi jayein
Par har ladki ki aankon mein aap ka hi naam aajata hai

Dhuwan

Agar hamarein naazrein judhi hoti
Toh ghau hamare dul pe bhi lagta
Par aap toh doosron ke nazar mein aake bas jalate hai humko
Isiliye hamare paas se toh bas dhuwan hi hai nikalta

Geherayi

Aapko dooba sakun
Itna geherayi hum mein kahan
Aapki har tammana pura kar paye jo
Usse khusnasib doosra kahan

Zamane se chin ke

Mera bas chale toh
Aapko sare zamane se chin ke le chalun
Aapka jab bhi didar kare kohi
Toh bas ek main hi karoon

Pyaar nahin

Log jisme tabha hojaye who pyaar nahin
Yaad karke jo muskura bhi na sake
Who pyaar mein nahin

Dil ki aag

Jiski yaad mein khoyen hain
Usse bahon mein bhar rahe hain
Maar pit se kohi mard nahin banta
Dil ki aag se rakh hokar muskurana bhi mardangi hai

Tumhe khush dekhne ki

Tumhe khush dekhne ki chaha karne wale bahut honge
Par hum tumhe khus rakhne walon mein se hain

Payal

Najar se waar karti hai
Ek muskan ghau ko bharti hai
Jine ke liye saansh ban kar aati hai
Par payal ki har jhankar se
Dil ki dhadkan ruk ruk ke chalne par majboor kar jaati hai

Ek jamana tha

Ek jamana tha hum bhi sidhi baatein karte the
Who toh kisike kajal ne aisa jaam bhardiya
Aaj bhi ladkhadate huwe sayari mein 
Bas usika naam lete hain

Raakh hum huwe the

Hum bhi faulad ke huwa karte the
Who toh jalim ki pyaar ka aag tha
Jisme rakh hum huwe the

Majboor

Majboor toh hum the 
Jo apne hi dilko samjha na sake
Uuski khusi hamare paas kahan
Isi liye uuski duniya hi saab chod chale

Sama jayein

Hum raakh ho chuke hain
Par hamein hawa mein udana nahin
Daar hai kahin uuski aankhon mein na sama jayen

Aadat nahin

Hamein baandh kar rok sake
Abhi aise salaakhein bane nahin
Who toh khud ke dil ne jurm kiya pyaar karke
Warna char diwar ke andar
 Chup baithne ki hamein bhi aadat nahin

Dil ki awaaz

Dil ki awaaz dil sunta hai
Pyaar mein saach aur jhoot nahin hota
Duniya chahe jitna bol le 
Pyaar karne walon ko sunai nahin deta

Who keheti hai

Who keheti hai, hamein pyaar izhaar karna nahin aata
Dil kitna jalta hai hum chir ke bhi dikhadein
Bas aag bujhane ke liye
Kohi do boond aansu bahade

Sapne toh

Sapne toh aankh khulne se toot jate hain
Armaano ko dub jane do
Dil toh kabka raakh ho chuka
Intazaar hai bas ab khud jalne ko

Yeh aankhen kabhi

Yeh aankhen kabhi soh nahi payi
Kisike aaneka rah ko dekhke
Aayega jaroor, ishme kabhi na shaq hai
Dar hai toh bas kahin yeh aankhen na bhand hojaye

Chaand itna door

Chand itna door hai
Phir bhi dil se pukaro toh aa bhi jaye
par chand ko daar sa laga rehete hai
Kahin kohi fir se daag na dejaye

Har khoobsurti ko

Har khoobsurti ko dil se niharun
Kabhi rook jaun toh kabhi piche bhi pad jaun
Par pyaas dil pe lagi hai
Kab tak sirf aankhon se bujhaun

Samay ke dhool se

Samay ke dhool se nikle huwe
Kuch yaadein kuch kahaniyan
Ek pal ke liye bhool bhi jayein
Tasveer main kaid hai meri qurbaniyaan

Deep jalade

Intazaar karne se hamein kohi shikwaa nahin
Ek ek pal hum yaadon mein bitadein
Dhadkan ruk bhi jaye pathar toh hai nahin
Bas who bhi kabhi aane ki deep jalade

Kabse dhoop main

Kabse dhoop main khadi ho
Yun hi hai yah kisike aane ka raah dekh rahi ho
Baalon ke chau main moohn ko dhaak kar rakhe ho
Yun hi hai yah aankhon ki nami chupa rahi ho

Soonchta hoon

Sonchta hun main, kahin tu dard main hogi
Mujhe dard se door rakhne dard main bhi hansti hogi
Khud bhooki rehke mere bhook mitati hogi
Baat honeke ke baad dard se roti bhi hogi

No comments:

Post a Comment